ANAA aur RISHTAY

Tuesday, 28 February 2012 5 comments

Har insaan mein buhat si khubiyaan or khamiyaan hoti hain.Mujhe apnay andar chupi huyi khubiyoon ka to pata nahi.Magar mujh mein buhat si….Asal mein buhat si nahi thori buhat khamiyaan zaroor hain.Jin mein say mujhe jo sab zada na pasand hai.woh hai har baat ko ANAA ka masla bana lay na.
Kuch logo ko yeh lagta hai kay har baat ko ANAA ka masla bana lay nay say hum buhat si cheezain hasil kr saktay hain.Kyun kay humari soch mein “KARO YA MARO” walay jazbat paida hojatay hain.Jo humaray andar jeet ka jaza paida krtay hain.kesi bhi jaga cahye kheel ho ya parhaye ho hum ANAA ka masla bana kr wahan jeet saktay hain.
Mujhe yeh baatien duniya kay rasm.o.rivaaj  kay hisaab say to sahi lagti hai magar mein rishtoo mein ANAA lay ati hon.jis ki wajah say mujhe yeh lagta hai kay mein rishtoon say door na hojaon.ANAA ki wajah say hum buhat say rishtay hamesha k liye khoo dayte hain.Meray abu mujhe hamesha samjhatay thay kay rishtoon kay beech mein kabhi ANAA mat lana kyun kay jab humara inteqal hoga aur tab humein 40 afrad bhi kandha na dayn to faida aisi zindagi ka.Abu kay janay k baad main nay is cheez ko mehsoos kiya kay jab tak hum duniya mein hai humien rishton ki zaroorat hai.insan akela zindagi nahi guzar sakta.kabhi kabhi kesi bhi laaraye ya jhagray mein hum ANAA ki wajah say nuksaan ka samna kr betha tay hain.aur humien baad mein pachtawa hota hai kay kash hum aisa na kartay.Is liye baad mein pachtanay say behtar hai hum pehlay hi apnay rishtay ko tarjeeh day na kay ANAA ko.takay baad mein pachtawa na ho.

“ANAA ankhon mein jami huyi dhool ki trha hai.jab tak hum dhool saaf nahi karyn ge tab tak humien kuch bhi saaf nazar nahi ay ga”

5 comments:

Post a Comment

 

©Copyright 2011 Rapid Communicators | TNB