Sunday, 4 March 2012 6 comments

Har  Galti  Naya  Sabak  Deti  Hai !!

Insan galti ka putla hai or galtiyu se seikh kar hi apni islah karta hai bachpan se le kar soch bujh anne tak har insan se koi na koi galti zaroor sarzard ho jati hai galti ho jane per hum sharmindagi mehsoos karte hai is lye humy apni galti chupane k lye sau jhoot bolna parta hai……………

Bazaukat zindagi me hum se kuch galtiya asi ho jati ha jis ka pachtawa humy zindagi bhar rehta hai………beshak us galti ki mafi humy mil tu jati ha magr dil o dimag k ksi na ksi kone me us galti ka ehsas rehta hai…………insan ko asi galtiya nahi karni chye k jis se samne wle ka dil dukhe ya use chot pounche………kuch galtiya insan jan bujh kar karta hai tu kuch galtiya insan se anjane me hojati hai………………

Baz galtiya asi hoti ha jin ko bar bar krne ka dil chata hai………khair galtiya buhat trha ki hoti hai jaise waldein se unchi awaz me baat krna, ya kisi ka dil dukhna, baro se batamizi krna, har bat har kaam me apni marzi chalana, baro ki na sunna, or bad me koi galti hojai tu us galti me afsos krna sharminda hona………… kuch galtiya asi hoti ha jin ka azala namumkin hota hai jis ka ehsas insan ko zindagi bhar saye ki trha pecha krta rehta hai………… " isi liye har galti insan ko naya sabak deti hai "
Muddate Guzar Gayi, Kisi Se Mafi Mang Ke,
Galtiyaan Ho Bhi Jaati Hai, Kabhi Kisi Mukaam Pe…!!



6 comments:

  • Marwa Javeed said...

    sab say sahi baat is main mujhe yeh lagi kay kuch galtiyan hum baar baar krtay hain..balkay kabhi to pata hota hai k yeh galti hai aur hum jan bojh kr krtay hain...

Post a Comment

 

©Copyright 2011 Rapid Communicators | TNB