Dua aur khuda…..
Duayein kitna
bara hosla hoti hai, Kitna bara sahara hoti hai humari zindagi ke liye…… main
aksar sochti ho Khuda se baat karne ka agar zariya na hota to kaise jee pate
hum, Yeh duayein Allah se baatein karna hi to hoti hai, apne dil k sare raaz
lafzon se kholna, kyon k waise to Khuda humari neeyatein janta hai, humare
alfaz to bas humare andar k bojh ko halka karne aur thora sukun hasil karne k
liye hote hain…… Kitna chain milta hai na pore aitmaad aur yaqen k saath jab
hath uthaye jate hai, ya sirf dil se
Allah ko…… apne Rab ko pukara jata hai, ek ajeeb sa aitbaar, ek ajeeb tarha se
hum mutmaeen ho jate hai, k haan wo jisne hume banaya, kiya wo humein sun raha
hai .........
Dua buhat hi masoom aur pyara sa zariya hai Khuda k kareeb ane ka….. Dua
ek aisa hatiyar hai jise istimal karne pe na koi saza hai na gunah, yeh ek aisi
taqat hai jo sub k pas hai, bas ise kaise istimal karna hai yeh sekhne aur
mehsos karne ki baat hai……….dua koi sekhne ki chez nahi, kehte hai na k jub koi
apna pyara mushkil me hota hai to dua khud-ba-khud a jati hai, yeh koi sekhne
sekhane ki baat nahi, kyon k Khuda har
zuban har andaz aur har tarha se janta hai k hum kya keh rahe hai, kya chah
rahe hain………..
Dua insan ka ek
asa mausar sahara hai, jo halat badal deti hai aur namumkin ko mumkin bana deti
hai, dua ek aisi taqat hai jo ane wali balao ko taal sakti hai, jub tak seene
me iman hai dua per yakeen rehta ha, jis ko dua per yakeen nahi usko Allah per
iman nahi……jub hum tanhai or khamoshi me dua mangte hai tu hum is yakeen k
saath dua kar rahe hote hai k humara Allah tanhai me bhi humare pas hai aur
khamoshi ki zuban bhi sunta hai, isi liye humy pore suche dil aur khulus se dua
mangni chaiye…………
Andheron
Ko Wo Noor Deta Hay,
Zikr
Uska, Dil Ko Suroor Deta Hay,
Uss
K Dar Se Jo B Maango,
Wo
"ALLAH" Hay, Zaroor Deta Hay…..
0 comments:
Post a Comment