Jamia ki Zindagi

Saturday, 18 February 2012 9 comments

Zindagi  mein buhat si cheezain pehli dafa hoti hai.jin k baray mein na kabhi socha hota hai na kabhi un cheezon ka tasuwar kiya hota hai.meri  Zindagi mein bhi aisa din aya.jab main Jamia mein taleem hasil krnay gaye.main nay socha tha kay sayed mein kesi college mein taleem hasil karongi.magar dooston aur ghar walo k kehnay par Jamia mein Dakhla(Admission) lay liya aur ek nayi tarha say zindagi ko samajhna shoro krdiya..
Jamia mein pehlay din buhat say naye doost bantay hain jo ek ek kr kay giroh ki shakal iktyar kr layte hain.Magar who kaha jata hai na har haanth mila nay wala doost nahi hota.aur agay chal kr aisa hi hota hai buhat say doost alag hojatay hain.sab ki alag alag majbooriyan hoti hain.aur jo kareebi doost hotay hain who baad mein bhi saath rehtay hain.
Jamia mein sab say aheem cheez Mahool hota hai.yahan ka mahool kuch kuch school ki yaad dila dayta hai.Classes ko pabandi say layna,doosto kay saath hasna,khelna,mooj masti karna.Asatza(teachers) ka lehaz krna,aur khaas kr kay Asatza ka pabandi aur acchay tarikay say parhana.Hum Jamia mein jitney din bhi guzaray magar har din kuch naya hi sikhtay hain.Jo humien puri zindagi yaad rehta hai aur agay chal kr humari amlee zindagi mein kafi madadgar sabit hota hai.Jamia main humari buhat si chupi huyi slahiyatien bahar ati hain..hum apni galtiyon ko bhi sahi tarha say samajhtay hain.aur un ko sahi krnay ka tarika bhi sikhtay hain.

9 comments:

  • Zia said...

    @Marwa Javeed: Apne bilkul sahi kaha "hum apni galtiyon ko bhi sahi tarha say samajhtay hain.aur un ko sahi krnay ka tarika bhi sikhtay hain."

Post a Comment

 

©Copyright 2011 Rapid Communicators | TNB