MERI GURDRIYA

Wednesday, 15 February 2012 13 comments


Bachpan ki sabsi achi saheli aur ek larki ka phela kihlona gurdriya hi hoti hai.wese to waldain apne bacho ko sab kuch dyna chahty hain lykin sabse phele beti ko gurdiya hi dytyn hain.ek ghareeb gharany ki bachi k pass bhi guddiya lazmi hoti hai.jis sy wo batain karti hain.bachpan main ek kihlona hmmary liye sab kuch hota hai.magar waldain k liye tu apni bati hi gurdiya hoti hai jissay wo pyar se kheltay hain pyar se jis k baal sanwarty hain.mujhay acha lagta tha jab mai apni gurdriya k baal sanwarti thi. tab meri ami ko apni gurdriya yani mere baal sanwarny ka shoq tha.mujhe acha lagta tha apni gurdriya ka hath pakadna or phir usy chalana usko dance karwana.tab mere abu ko bhi buhat acha lagta tha meri ungli pakad kar mujhe chalana.
Ab mai badi hogae or meri pasand badal gae.ab meri gurdriya mujhe showcase mai saji hoe achi lagti hai.lekin mere waldein ki wo chohti si pyari si gurdriya jo k ab badi hogae hai.lekinaj bhi un k liye utni hi pyari hai jitni 20 saal phele thi.20 saalo mai ek lamha esa nhi hoga jab mere waldein ne mujhse pyar nhi kiya ho.aj bhi mere walid mere liye gurdriya khareed laty hain.ku k main aj bhi unki wo gurdriya ho jisay kihlono sy kehlna pasand hai..
Hammari pasand gurdriya se ly kar Mobile phone, kapdro(dress) or nammi perfumes mai kab badal jati hai pata hi nhi chalta..lekin waldein ka apni gurdriyaon k liye pyar kabhi nhi badalta.mai apne walidein ki wo gurdriya ho jis k baal aj bhi meri ami shoq se sanwarna chahti hai.mere walid mere hath tham kar mere sath zindagi k rasto per chalna chatain hai…hammara piyar waqt k guzrny k sath ya to kam hojata hai ya badal jata hai.lkn maa baap ka pyar waqt k guzarny k sath or barh jata hai…

13 comments:

  • kanwal saima said...

    waldain ka piyar kbhi b khtm nahi hota apni aulad k liye.......n betiya tu apne waldain ka guror hoti ha khas tur pe apne abu ka.....ek trha se betiya apne abu ka beta hi hoti ha...har kam me abu k 7 rehna har kam me apne abu ka 7 dena......zindagi me waldain ka na hona tu jaise zindagi bekar hai....is liye waldain se hmesha piyar or unki izzat karni chye.....:)

Post a Comment

 

©Copyright 2011 Rapid Communicators | TNB