Bachpan ki yaad k kuch pal…..
Bachpan ki choti choti sharatein kbi kbi yad ati
hai tu honto pe khud ba khud muskurahat phel jati ha kitni payri hoti ha ye
sharartein jo bachpan me ham jan k or anjane me karte hai…….jis se shyd kisi ka
dil bhi dukha ho or shyd kisi ko khushi bhi mili ho…….
Kitni masoom hoti thi ye sharatein bat bat par
jhot bolna, larna, jhagarna, bila waja sub ko tang krna, logo ki shikayat karna,
kisi qisim ka koi dar nai hota tha na baro ki dant ka na kisi ki maar ka, wo
logo ki ghr ki bell baja ka bhag jana, rastay chalte logo ka mazak urana, har
waqt masti karna, pura din khel khud me zaya karna, kio kam na karna, ammi ko tang
karna, wo bila waja logo ko phon pe satana,…..…….. Wo choti choti baton par
ruthna manana, wo bat bat pe anso bhana,wo barish me khagaz ki kashti chalana,…………….wo
nai nai kapre pehan kar bht shok se dekhana, wo nayi guriya dekha k dosto ko
chirhna, wo ammi se apne khoob naz nakhry uthwna, wo abu se apni bat manwna,
kitne piyari hoti thi wo sharatin har khof se beniyaz jab yad ati hai tu mai
man hi man muskura deti hon..…………..
Ab kha rahi wo sharartein jo bekhof ho k kiya
karte thy……..ab sirf yadein rah gai ha q k zindagi me ek tharao sa tharao agya
hai………….
Kagaz Ki Kashti Thi
Pani Ka Kinara Tha...
Khelne Ki Masti Thi Dil Ye Awaara Tha...
Kaha Aa Gaye Is Samajdari Ki Dunia Me....
Wo Nadaan Bachpan Hi Kitna Pyara Tha...
Khelne Ki Masti Thi Dil Ye Awaara Tha...
Kaha Aa Gaye Is Samajdari Ki Dunia Me....
Wo Nadaan Bachpan Hi Kitna Pyara Tha...
8 comments:
wah bhaee kiya shair hai..:)
waqae bachpan bht yd ata hai...
ha g bilkul thk kha.....:)
Bhai wah ! kanwal, bachpan yaad dila dia ... Rapid improvement from a Rapid communicator =)
thnkx mam........:)
lovly
thnkx........:)
bht zbardast
thnkx g.......:)
Post a Comment