Songs And Cars (Ganay aur Garian)

Saturday, 31 March 2012 5 comments

Mosikey Rooh ki Ghiza Hai.
Is baat main kitni sadakat hai yeh to mujhe maloom nahi.Lekin humara mood kesa bhi ho ganay sunay kay baad badal zaroor jata hai.Agr hum udaas ganay sunye to humara mood udaas hojata hai aur agr payar mohabbat walay ganay sunay to ek alag duniya mein khoo jatay hain.Khair yeh baatien batanay ka maksad ganoo ko bayan krna nahi hai.Balkay yeb bata nay ka maksad kuch aur hai.Pehlay hum walkman ya tape par apnay gharon mein ganay suntay thay.Magar 4-5 saal say mein nay nayi tarha ka shook logo mein dekha hai.Jis kay zariye woh gana suna pasand krtay hain.Main baat kr rahi hon gari wagera mein lagy huye deck ki.C.D, D.V.D, MP3 nay tape cassette ko buhat pechay chor diya hai. Amplifier aur woofer speaker kay zariye hum trakie ko asani say dekh saktay hain.Wesay to hum pehlay bhi gari mein ganay suntay thay.Magar technology ki waja say ab gari mein lagay huye deck kay zariye ganay sunay ka rung doobala hogaya hai.
Munni badnaam huyi, shela ki jawani, chekni chameli jesay ganay garion kay zariye bhi kafi maqbool huye hain.Zabrdust sa system high fi speakers hr taraf say ati huyi awaz.Us par say logo ko apni taraf mootawaja krnay wali bass .Gari kahin say bhi guzray loog ek dafa mor kr dekhtay zaroor hain.Aisay system pay gana sunay kay baad cahye gana jesa bhi ho magr ganay ko chaar chand lag jatay hain.
Kahan jata hai Mulk mein buhat mehngai hai.Magar jab main kuch dino pehlay Karachi kay mashoor bazaar sadder gaye apni gari mein koi accha aur saasta sa deck lagwanay kay liye to waha ja kr pata chala kay mehngai sayed bas gareeb awaam kay liye hai.Main nay socha tha sayed 4 ya 5 hazaar mein accha sa system lag jaye ga.Magar dukan daar nay kaha normal system kam say kam 15 hazaar tak hai.Phir main nay dukaan daar say kaha yeh saasta hai to mehnga kuan sa hai.To dukan daar nay kaha Bibi 15 hazar say lay kr 3 Lakh tak kay system hain meray pass.Khair mai nay apni jaeb dekhi aur main wapis agaye.


Magar shook ka koi mool nahi hai.Aj bhi larkay mehngay say mehngay deck ya system apni garion (cars) mein lagwa rahay hai.Balkay ek jung chiri huyi hai us ki car mein 15 hazaar ka deck hai to mein 30 hazaar wala laga lo.Us ki gari mein ek L.C.D hai to mein apni gari ki seats par bhi L.C.D lagao.Yahan tak kay rickshaw mein bhi naye say naye ganay chal rahay hotay hain.Ab to agar gari mein system na ho to safr buhat hi boring hojata hai.Jesay kuch dino say meri gari boring hogaye hai L

5 comments:

Post a Comment

 

©Copyright 2011 Rapid Communicators | TNB