Radio ko ajkal bhot he shoq se suna jata hai farigh time mai radio se behtreen timepass or koi nahi timepass k ilawa radio se hume bhot se information bhi hasil hojate hai kio k aplogo ko tu pata hai karachi mai load shedding ke kiya halat hai ab bechara radio he saathi hai hamara waqt guzarne ka jab light nahi hoti tu is ke through hum different newz jan sakte hai kuch bhi kahi bhi hojae ager t.v na hotu radio hume bata sakta hai her cheese yeh eik ache bhi baat hai ke her terah ke facility insan ko hasil hai ajkal ke dour mai..lekin jahan tak sawal hai time ka zamana itna fast hogaya hai ke keise ke pas time nahi ajkal.. mere khud k cousin radio per Rj hai or hum he unka show nahi sun patey..waqt itna teize se guzar jata hai pata he nahi chalta..mujhe filhal radio ke misuses nazar nahi atey han yeh hai key isko sunte sunte time kahan nikal jata hai pata bhi nahi chalta is liye yeh farigh waqto k liye he theek hai kio key her cheez apne waqt per kerna theek rehta hai jahan tak sawal information ka hai wo tu hume her chez se he hasil hai ajkal chahe wo internet ho ya radio dhondne wale her chez dhond he leyte hai..han yeh hai key ap waqt ko zaya na kare keise bhi fazool kaam mai kio key kehte haina..." JO WAQT GUZAR GAYA WO WAPIS NAHI ATA..." IS LIYE HER CHEZ WAQT PER HO TU BEHTER HAI..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment