Aurton kay Aalmee din ka Maksad

Friday, 9 March 2012 10 comments

Har saal Aurton ka aalmee din manaya jata hai.Is din ka matlab Aurtoon ko khiraj.e.tehseen paish krna hai.Is din buhat si kamayab Aurton ko buhat say azaz diye jatay hain,buhat say seminar munakid hotay hain,buhat si takribon ka intezam kiya jata hai.Bay shak in takriboon kay zariye hum Aurton ki hosla afzaiye krtay hain.Magar masael ki jahan tak baat ati hai to buhat say masael samnay to la diye jatay hain.Magar un k hal k liye koshishien na honay kay barabar ki jati hain.Agar hum Pakistan ki baat karyn to buhat si aurtein ab bhi Insaaf ko taras rahi hain.

Ab Zalimo Say Mera mukadma Laray Ga kuan
Insaaf Kay Husool Ka Wada Kahan Gaya


Pakistan mein Aurton ko buhat say masael ka samna hai.Jin mein Tezaab phekna,Jahaeez ko lay kr jala dayna,Pasand ki shaadi par maar dalna,Kari karrar dayna,Betay ko lay kar maar dayna,Sohar ki taraf say tasadud,Taleem say door rakhna wagera wager.Yeh wagera main nay is liye likha hai kyun kay Aurtoon kay masael bata nay kay liye meray paas Alfaaz kam parh jayen ge magar masael khatam nahi honge.
Hum apnay mashray mein ek aur cheez dekhtay hain.Agar kesi Larki ya Aurat ko tarikey di jati hai to Mard usay manfi nazar say dekhtay hain.Mardoo ka man na hai kay yeh larki hai is nay kuch na kuch kiya hoga ya boss ko khush kiya hoga tabhi isay Office mein tarikey mily hai.Hum bhi to wohi kaam kr rahay hain hum pay kyun yeh mehrbani nahi ki gaye.Mardoo ko aurtoon ki mehnat nazar nahi ati.Un ki hosla afzaiye krnay k bajaye un ko neecha dekhatay hain.Mardoo ko yeh nahi maloom kay ek kamiyab aurat hi ainda nasloon kay liye Kamiyab mashra Taskeel dayti hai.

Is din Aurton kay Huqooq tasleem kiye jaye.In ko tahafooz farham karaya jaye.Wesay to Pakistan mein Aurton Kay liye Huqooq.e.Niswan bill manzoor kiya ja chuka hai magar buhat si Aurton ko is kay baray mein maloom hi nahi.To jab tak in ko apnay Huqooq kay baray mein maloom hi nahi hoga tab tak who apnay haq kay liye kesay laray ge.Meri nazar mein humien is bill ko lay kr khas takribien krni cahye jis kay zariye hum un ki la elmee khatam kr sakay.Kahain na kahin is La elmee ki waja taleem ka fokdaan bhi hai.Kyun kay taleem ki kami,wasael ki adm dastiyabe ki waja say apnay Huqooq say agah nahi hosaki hain.


Meri nazar mein humien is din ka sahi maksad samajh na cahye.Aur samajhnay kay baad is din ko sahi maiyno mein kamiyaab bana na cahaye.

10 comments:

  • Maryam Ali said...

    bht acha likha hai...lekin tum ise unicode pe ya in-page pe likhti tu zyada acha tha kyun k isme kafi words samajh mein ni arahe parhne mein mushkil horae hai

  • Zia said...

    jab aurte kisi kaam main peeche nhi hai chahe woh politics, bussiness, sport, science, acting, designer ho lekin aj bhi aurto ko woh mukaam nhi diya jata jo dena chaiye...... Toh Women's day kio manaya jata hai
    ????? Jab aj bhi larki ki paidaish per unko paida hone se phele maar diya jata hai????? Yeh logo ki choti aur purani soch hai....jab tak yeh soch nhi badlegi ye masle aise hi chalte rhege.....

  • Marwa Javeed said...

    aisi baat nahi hai k un ko woh mukaam nahi mila.un ko izat mili hai.but mai nay yahan un k masael ki baat ki hai.is din ko mana na galat nahi hai hum aurtoon ko khiraj.e.tehseen paish krtay hai.but un k buhat say masael hai jin ko hal krnay ki zaroorat hai.

Post a Comment

 

©Copyright 2011 Rapid Communicators | TNB