Har saal Aurton ka aalmee din manaya jata hai.Is din ka
matlab Aurtoon ko khiraj.e.tehseen paish krna hai.Is din buhat si kamayab Aurton
ko buhat say azaz diye jatay hain,buhat say seminar munakid hotay hain,buhat si
takribon ka intezam kiya jata hai.Bay shak in takriboon kay zariye hum Aurton
ki hosla afzaiye krtay hain.Magar masael ki jahan tak baat ati hai to buhat say
masael samnay to la diye jatay hain.Magar un k hal k liye koshishien na honay
kay barabar ki jati hain.Agar hum Pakistan ki baat karyn to buhat si aurtein ab
bhi Insaaf ko taras rahi hain.
Ab Zalimo Say Mera
mukadma Laray Ga kuan
Insaaf Kay Husool Ka
Wada Kahan Gaya
Pakistan mein Aurton ko buhat say masael ka samna hai.Jin mein
Tezaab phekna,Jahaeez ko lay kr jala dayna,Pasand ki shaadi par maar dalna,Kari
karrar dayna,Betay ko lay kar maar dayna,Sohar ki taraf say tasadud,Taleem say
door rakhna wagera wager.Yeh wagera main nay is liye likha hai kyun kay Aurtoon
kay masael bata nay kay liye meray paas Alfaaz kam parh jayen ge magar masael
khatam nahi honge.
Hum apnay mashray mein ek aur cheez dekhtay hain.Agar kesi Larki
ya Aurat ko tarikey di jati hai to Mard usay manfi nazar say dekhtay hain.Mardoo ka man na hai kay yeh larki hai is
nay kuch na kuch kiya hoga ya boss ko khush kiya hoga tabhi isay Office mein
tarikey mily hai.Hum bhi to wohi kaam kr rahay hain hum pay kyun yeh mehrbani
nahi ki gaye.Mardoo ko aurtoon ki mehnat nazar nahi ati.Un ki hosla afzaiye
krnay k bajaye un ko neecha dekhatay hain.Mardoo ko yeh nahi maloom kay ek
kamiyab aurat hi ainda nasloon kay liye Kamiyab mashra Taskeel dayti hai.
Is din Aurton kay Huqooq tasleem kiye jaye.In ko tahafooz
farham karaya jaye.Wesay to Pakistan mein Aurton Kay liye Huqooq.e.Niswan bill
manzoor kiya ja chuka hai magar buhat si Aurton ko is kay baray mein maloom hi
nahi.To jab tak in ko apnay Huqooq kay baray mein maloom hi nahi hoga tab tak who
apnay haq kay liye kesay laray ge.Meri nazar mein humien is bill ko lay kr khas
takribien krni cahye jis kay zariye hum un ki la elmee khatam kr sakay.Kahain
na kahin is La elmee ki waja taleem ka fokdaan bhi hai.Kyun kay taleem ki
kami,wasael ki adm dastiyabe ki waja say apnay Huqooq say agah nahi hosaki hain.
Meri nazar mein humien is din ka sahi maksad samajh na
cahye.Aur samajhnay kay baad is din ko sahi maiyno mein kamiyaab bana na
cahaye.
10 comments:
bht acha likha hai...lekin tum ise unicode pe ya in-page pe likhti tu zyada acha tha kyun k isme kafi words samajh mein ni arahe parhne mein mushkil horae hai
jab aurte kisi kaam main peeche nhi hai chahe woh politics, bussiness, sport, science, acting, designer ho lekin aj bhi aurto ko woh mukaam nhi diya jata jo dena chaiye...... Toh Women's day kio manaya jata hai
????? Jab aj bhi larki ki paidaish per unko paida hone se phele maar diya jata hai????? Yeh logo ki choti aur purani soch hai....jab tak yeh soch nhi badlegi ye masle aise hi chalte rhege.....
yaar us par mujhe likh na nahi ata.. :( nxt tym try karongi..
aisi baat nahi hai k un ko woh mukaam nahi mila.un ko izat mili hai.but mai nay yahan un k masael ki baat ki hai.is din ko mana na galat nahi hai hum aurtoon ko khiraj.e.tehseen paish krtay hai.but un k buhat say masael hai jin ko hal krnay ki zaroorat hai.
maryam sare words thk likha ha or smjh me b arha hai.........n gud job.... marwa :)
thanx kanwal..
my pleasure........:)
ok samjh gya bhuhat gehri urdu likh di hai.
bht cha likha hy marwa :)
thanx ammara
Post a Comment