BUS Ab Humaray Bas Mein Nahi.

Sunday, 25 March 2012 4 comments

Double hai double hai hydri,sakhi hasan,nagain chorangi,u.p shabash shabash chalo chalo
Yeh sunaty hi humaray dimagh main BUS ka khayal ata hai.sasti aur asan sawari itni mehngi aur mushkil sawari ban jaye ge kesi nay kabhi socha bhi nahi tha.Karachi ki zada tar awam apna safr BUS kay zariye tay karti hai.Magar ab roz nayi say nayi mushkilat dekhnay mein arahye hain.Kabhi CNG ka masla,kabhi jaga ka masla,kabhi karayie (rent) ka masla.Kabhi to yeh BUS walay na sahi say charnay daytay hain na sahi say utarnay daytay hain.Kabhi lagta hai ek pair BUS mein aur ek pair hawa mein aur banda sochta hai kay kya main apnay paon zameen par rakh sako gab hi ya nahi? Ya ALLAH ALLAH krta rahy jaonga.Yeh baat mazak nahi hai.Driver ko doosri BUS say race laga nay ki lagi rehti hai jis ki  wajah say humien nuksan utha na parhta hai.jis ki wajah say buhat say hadsaath bhi paish atay hain.Aur jab in ka race laga nay ka mood nahi hota to BUS itni ahista chalatay hain kay cycle wala bhi agay nikal jata hai.Agar CNG mehngi hojaye to karayie (rent) mun mana ezafa kr diya jata hai.Ab takriban hr BUS mein CNG mojood hai to agar CNG stations band hojaye tab bhi awam mushkilat say do chaar hoti hai.Khawateen ko is mamlay mein bhi ek ezafi nuksaan bardasht krna parhta hai.Aur is ki waja jaga hai.BUS mein aurtoon ki jaga mardoon say kam hoti hai.Jis ki waja say baaz aukat who apna pura safar kharay kharay tay karti hain.Mardoon kay liye yeh safr kabhi hawa aur kabhi tafri frham krnay wala safr ban jata hai.Jab who apna safr BUS ki chat par guzar kr tay krtay hain.
Double sawari par pabandi ki surat mein BUS walon ko kafi faida hota hai.BUS mein zada say zada loog safr krtay hain magr is say awam kitni mushkilat mein mubtala hojati hai is ka andaza Government ko nahi hota.Roz bhri huyi BUS mein safr karo.Agar koi banda apnay doost kay saath bike par office jata hai to apna safr asani aur sukoon kay saath tay kr sakta hai.Magar double sawari par pabandi ki waja say woh BUS mein safr krta hai aur office poanchtay poanchtay woh jungli ban jata hai.
BUS ka safr asan aur sasta hona cahye ta kay gareeb awam is safr say bhar poor faida utha sakay. Hukoomat ko cahye karayie (rent) mein kami kr kay awam kay liye asani paida kary.Aur aurtoon ki jaga mein bhi ezafa kiya jaye.

4 comments:

Post a Comment

 

©Copyright 2011 Rapid Communicators | TNB