Double hai
double hai hydri,sakhi hasan,nagain chorangi,u.p shabash shabash chalo chalo…
Yeh sunaty hi
humaray dimagh main BUS ka khayal ata hai.sasti aur asan sawari itni mehngi aur
mushkil sawari ban jaye ge kesi nay kabhi socha bhi nahi tha.Karachi ki zada
tar awam apna safr BUS kay zariye tay karti hai.Magar ab roz nayi say nayi
mushkilat dekhnay mein arahye hain.Kabhi CNG ka masla,kabhi jaga ka masla,kabhi
karayie (rent) ka masla.Kabhi to yeh BUS walay na sahi say charnay daytay hain
na sahi say utarnay daytay hain.Kabhi lagta hai ek pair BUS mein aur ek pair hawa
mein aur banda sochta hai kay kya main apnay paon zameen par rakh sako gab hi ya
nahi? Ya ALLAH ALLAH krta rahy jaonga.Yeh baat mazak nahi hai.Driver ko doosri
BUS say race laga nay ki lagi rehti hai jis ki wajah say humien nuksan utha na parhta hai.jis
ki wajah say buhat say hadsaath bhi paish atay hain.Aur jab in ka race laga nay
ka mood nahi hota to BUS itni ahista chalatay hain kay cycle wala bhi agay
nikal jata hai.Agar CNG mehngi hojaye to karayie (rent) mun mana ezafa kr diya
jata hai.Ab takriban hr BUS mein CNG mojood hai to agar CNG stations band
hojaye tab bhi awam mushkilat say do chaar hoti hai.Khawateen ko is mamlay mein
bhi ek ezafi nuksaan bardasht krna parhta hai.Aur is ki waja jaga hai.BUS mein
aurtoon ki jaga mardoon say kam hoti hai.Jis ki waja say baaz aukat who apna
pura safar kharay kharay tay karti hain.Mardoon kay liye yeh safr kabhi hawa
aur kabhi tafri frham krnay wala safr ban jata hai.Jab who apna safr BUS ki
chat par guzar kr tay krtay hain.
Double sawari
par pabandi ki surat mein BUS walon ko kafi faida hota hai.BUS mein zada say
zada loog safr krtay hain magr is say awam kitni mushkilat mein mubtala hojati
hai is ka andaza Government ko nahi hota.Roz bhri huyi BUS mein safr karo.Agar
koi banda apnay doost kay saath bike par office jata hai to apna safr asani aur
sukoon kay saath tay kr sakta hai.Magar double sawari par pabandi ki waja say woh
BUS mein safr krta hai aur office poanchtay poanchtay woh jungli ban jata hai.
BUS ka safr
asan aur sasta hona cahye ta kay gareeb awam is safr say bhar poor faida utha
sakay. Hukoomat ko cahye karayie (rent) mein kami kr kay awam kay liye asani
paida kary.Aur aurtoon ki jaga mein bhi ezafa kiya jaye.
4 comments:
waqai aj kal bus mai safar krna jaan ka azab bn gaya hy..
sirf azaab nahi double azaab..aik arsaa guzar gaya bhaithnay ki jaga bhi nahi mili mughy bus may :((
chalo arshia nxt tym inshaa ALLAH jaga mil jaye ge.
ha shi kha mjy tu na subha jga milti ha or na dophar me..........dno time khre ho k jna prta ha......musibat......:(
Post a Comment