Rooti bilakti awam ka Pakistan

Tuesday, 3 April 2012 2 comments


PAKISTAN mera watan jahan 18 caror afrad abad hain or jin mai ziyada tadada nojawano ki hy iske bawajod Pakistan ka shumar duniya k tarakki pazeer mumalik mai hota hy or ab halaat  is se bhi battar hochuke hain Pakistan mai sangeen masail janam le chuke hain in musail se dochar yahan ki awam jo ghurbat mai mubtila hy jo ab hukumat k hathkandoon se ajiz achuki hai hukumat ko bura bhala bolti hai hr waqt ksi na ksi baat ka rona roti rehti hai or iss se ziyada unse kch nhi hota to tang akar Pakistan ko hi bura khti hy ajj koi Pakistan mai rehna nhi chahta sub ko beron e mulk ja kr apna mustakbil sanwarne ki pari hy system ko gali dene wali ye awam akhir sirf bolti hi kyun hai ? agar ye awam system se itni hi ajiz hai to khud koi qadam kyun nhi uthati ……. Watan ki burai krne pe atay hain to bolte hi chalay jatay hain hr waqt naare lgae jatay hain system badlo system badlo… wo kehte hain na jo garajte hain wo baraste nhi……. Hmari awam bhi kch esi hi hai jinhen sirf  bolna ata hy mulk mai keeray nikalne atay hain lykin jahan baat ati hai kch kr dikhanay ki wahan sub patli gali pakarte hain… jo qoam apnay hi watan ko bura kahe lykin apnay mulk k liye agay barh kr kch na kre wo mulk kese tarakki karay ga……. Zrorat hai pehlay hme badalne ki hum badlen ge to system badle ga warna agar ye mulk isi dagar per chalta raha tu khuda na kre Pakistan ka nam o nishan hi is duniya se mit jaye ga….


2 comments:

  • Faryal Hilal said...

    khud awam k qadam uthty hain to america London jany k liye...
    jahan kahty hain wahi kusty hain to esi awam ka yehi hashar hoga...
    wo kehty hain na jesi awam wesa hukumran...

  • kanwal saima said...

    shi kha awam bs khti ha krti kch ni bolna bht ata ha mgr krna ni or jb krne ka sochte ha tu ksi dosre mulk me ja kr krne ka sochte ha or khte ha k systm hi khrb ha apne mulk ka kch ni ho skta .........

Post a Comment

 

©Copyright 2011 Rapid Communicators | TNB